Har dard ka manzar hai
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
(Zainab ka khulla sar hai) x2 sajjad ki aankhon mei
Mazloom akela tha aur chaaro taraf lashkar
Is alame ghurbat mei shabbir ki gardan par
Chalta huwa khanjar hai sajjad ki aankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Athara baras paala maa ne jisse parde mei
Barchi ki anee tuti us chand ke sine mei
Wo laashae akbar hai sajjad ki ankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Jab tak bhi rahi zindaan saaye mei nahi beti
Bas yaad mei asghar ki koi huwi rehti thi
Besheer ki madar hai sajjad ki aankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Jis keliye bachpan mei jannat se libaas aye
Wo dilbare zahra hai be goro kafan haye
Mazloomiye sarwar hai sajjad ki ankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Be parda jo guzri hai bazaar ke raste se
Be jurmo khata jis par pathar bhi baraste the
Wo aale payambar hai sajjad ki aankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Kistarha bulade wo bachi ki shahadat ko
Dafnaya jo zindaan mei baba ki amanat ko
Ghurbat ka wo manzar hai sajjad ki aankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Tanhayi hai aur ghar hai har din hai qayamat ka
Dil kese lage uska veeraan hai har hujra
Zahra ka bhara har hai sajjad ki aankhon mei
Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei
Ay mir takallum jo hai aaj talak jaari
Hai mujko yaqeen jiska katra hai azadari
Wo gham ka samandar hai sajjad ki aankhon mei
(Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei) x2